Wednesday, March 25, 2009

The Love magic


Hridaya ke intejaar mein,
Hu waqt ki katar me,
Main Chal rha hu pyaar mein, mai chal rha dulaar mein,
Najane kaisi dor hai, najane kaisi dor hai?

Yuun arth aur vastu ki hai anta heen shrinkhala,
Yaha waha anant ki hai anta heen shrinkhala,
Main chal raha vikar me, machal raha achaar mein,
Hu chal raha prachaar mein, prayasrat vichar mein,
Najaane kaisi dor hai, najaane kaisi dor hai......

Kavita


Ek kavita ki kahani. kavita ki jubani :

Manotsarjan ko laybaddh karne ki chestha hai,
Parkhi ko takmugdh karne ki ikcha hai,
Shant hridaya ki ashant tarango ka chinh ye,
Swayam mein sampoornata ki shikcha hai.